LYRIC


--FEMALE 1--
Aiya ya ya ya


--MALE-- Yeh pyaar kya hai kisi ne na jaana - 2 Sab ki zubaan pe magar yeh fasaana

--FEMALE 1-- Jaadu hai yeh kya pata Kab kis pe yeh chal gaya

--FEMALE 2-- Shola hai yeh kya khabar Kab kiska dil jal gaya

--MALE-- Yeh pyaar kya hai kisi ne na jaana Sab ki zubaan pe magar yeh fasaana

Pehle zara dil thaam lo - 2 Phir pyaar ka naam lo Na kuch kaho, na kuch suno Aankhon se yeh kaam lo

--FEMALE 1-- Sab ke liye pyaar ka Yeh phool khilta nahin

--FEMALE 2-- Sab ko magar pyaar ka Yeh gham bhi milta nahin

--MALE-- Yeh pyaar kya hai kisi ne na jaana Sab ki zubaan pe magar yeh fasaana

--FEMALE 1-- Aiya ya ya ya

--MALE-- Is pyaar mein dil pe kabhi - 2 Kuch zor chalta nahin Is dil mein jo bas jaaye voh Dil se nikalta nahin

--FEMALE 1-- Kuch log to haar ke Kya kuch nahin kar gaye

--FEMALE 2-- Unka bhi to naam lo Chupke se jo mar gaye

--MALE-- Yeh pyaar kya hai kisi ne na jaana Sab ki zubaan pe magar yeh fasaana

--FEMALE 1-- Jaadu hai yeh kya pata Kab kis pe yeh chal gaya

--FEMALE 2-- Shola hai yeh kya khabar Kab kiska dil jal gaya

--MALE-- Yeh pyaar kya hai kisi ne na jaana Sab ki zubaan pe magar yeh fasaana

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs