LYRIC


--MALE--
(Na kajre ki dhaar, na motiyon ke haar
Na koi kiya singaar phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho) - 2

--FEMALE--
Mann mein pyaar bhara, aur tan mein pyaar bhara
Jeevan mein pyaar bhara tum to mere priyavar ho
Tumhi to mere priyavar ho

--MALE--
Singaar tera yovan, yovan hi tera gehna - 2
Tu taazgi phoolon ki, kya saadgi ka kehna
Ude khushboo jab chale tu - 2
Bole to baje sitaar
Na kajre ki dhaar, na motiyon ke haar
Na koi kiya singaar phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho

--FEMALE--
Saari duniya harjaayi, tere pyaar mein hai sachchaai - 2
Is liye chhodke duniya teri aur kheenchi chali aayi
Thi patthar tune chhookar - 2
Sona kar diya khara
Mann mein pyaar bhara, aur tan mein pyaar bhara
Jeevan mein pyaar bhara tum to mere priyavar ho
Tumhi to mere priyavar ho

--MALE--
Tera ang sachcha sona, muskaan sachche moti - 2
Tere hont hai madhushaala, tu roop ki hai jyoti
Teri soorat jaise moorat - 2
Main dekhoon baar baar
Na kajre ki dhaar, na motiyon ke haar
Na koi kiya singaar phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho

--FEMALE--
Mann mein pyaar bhara, aur tan mein pyaar bhara
Jeevan mein pyaar bhara tum to mere priyavar ho
Tumhi to mere priyavar ho

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs