LYRIC


--MALE--
Ek din jab savere savere surmai se andher ki chaadar hataake
Ek parbat ke takiye se sooraj ne sar jo uthaaya to dekha
Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain
Ankahi ansuni aarzoo, aadhi soyi hui, aadhi jaagi hui
Aankhen malte hue dekhti hain
Laher dar laher, mauj dar mauj
Baheti hui zindagi jaise har pal nayi, aur phir bhi vahi
Haan vahi zindagi jiske daaman mein
Koi mohabbat bhi hai, koi hasrat bhi hai
Paas aana bhi hai, door jaana bhi hai
Aur yeh ehsaas hai, waqt jharne sa baheta hua
Jaa raha hai yeh kehta hua
Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain

--FEMALE--
Aah haa aah haa, aah

--MALE--
Kyoon hawa aaj yun gaa rahi hai - 2
Kyoon fiza rang chhalka rahi hai
Mere dil bata aaj hona hai kya
Chaandni din mein kyoon chhaa rahi hai
Zindagi kis taraf jaa rahi hai
Mere dil bata kya hai yeh silsila
Kyoon hawa aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai

--FEMALE--
Aah aah aah aah, mm mm, aa aa aa

--MALE--
(Jahan tak bhi jaaye nigaahein
Baraste jaise ujaale) - 2
Saji aaj kyoon hain yeh raahein
Khile phool kyoon hai niraale
Khushbuein kaisi yeh beh rahi hai
Dhadkanein jaane kya keh rahi hai
Mere dil bata yeh kahaani hai kya
Kyoon hawa aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai

--FEMALE--
Aah aah, aah aah, aah aah aah

--MALE--
(Yeh kiska hai chehra jise main
Har ek phool mein dekhta hoon) - 2
Yeh kiski hai aawaaz jisko
Na sunke bhi main sun raha hoon
Kaisi yeh aahatein aa rahi hai
Kaise yeh khwaab dikhla rahi hai
Mere dil bata kaun hai aa raha
Kyoon hawa aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai

--FEMALE--
(Aah aah, aah aah, aah aah aah)
Aah aah aah, aah aah aah

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs