LYRIC

–MALE–
(Koi taza hawa mann ko chhoo gayi
Mujhe aisa lagaa jaise tu gayi) – 2
Dekhoon yahan, dekhoon vahan, chaaro taraf aaye nazar – 2
Tu, bas tu – 2
Koi taza hawa mann ko chhoo gayi

Tera nashaa hai khumaari hai
Poocho na kya beqaraari hai
Tere bina meri jaane jaa
Mushkil hai din, raat bhaari hai
Ab to mere khayal mein, dhadkano ke sawaal mein – 2
Tu, bas tu – 2
Koi taza hawa mann ko chhoo gayi

Meri nazar mein nazaaron mein
Tu hai basi chaand taaron mein
Tera dupatta mahekta hai
Phoolon ke maheki bahaaron mein
Har gali har makaan mein, is zameen aasmaan mein – 2
Tu, bas tu – 2
Koi taza hawa mann ko chhoo gayi
Mujhe aisa lagaa jaise tu gayi
Dekhoon yahan, dekhoon vahan, chaaro taraf aaye nazar – 2
Tu, bas tu – 3


Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs