LYRIC


--FEMALE--
(Maasoom chehra, nigaahein farebi
Labon pe hansi aur dil mein daga hai) - 2
Mile dost jisko yahan tere jaisa - 2
Use dushmanon ki zaroorat hi kya hai
Maasoom chehra, nigaahein farebi
Labon pe hansi aur dil mein daga hai
(Dil tod diya kyoon itna bata de
Phir baad mein bewafa jo chaahe mujhko saza de) - 2
Teri berukhi se pareshaan hoon main - 2
Na aaye samajh mein yeh kya maajra hai
Maasoom chehra, nigaahein farebi
Labon pe hansi aur dil mein daga hai
Kya usko kahe jo kasmon ko bhoole
Apnon se karke jafa, gairon ki baahon mein jhoole
Aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa
Nazar mein basaake nazar pher lena - 2
Yeh kaisi mohabbat, yeh kaisi vafa hai
Maasoom chehra, nigaahein farebi
Labon pe hansi aur dil mein daga hai
(Jo bharta nahin voh zakhm diya hai
Mujhko nahin pyaar ko badnaam tune kiya hai) - 2
Jise maine pooja masiha banaake - 2
Na tha yeh pata pattharon ka bana hai
Maasoom chehra, nigaahein farebi
Labon pe hansi aur dil mein daga hai
Mile dost jisko yahan tere jaisa
Use dushmanon ki zaroorat hi kya hai
Maasoom chehra, nigaahein farebi
Labon pe hansi aur dil mein daga hai

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs