--MALE-- Tu hi dekh Ma yeh barbaadiyaan - 2 Sab jalte ghar, sab jalte nagar hain tere Vande mataram, vande mataram - 2 Zakhmi sadke, ghaayal galiyaan Seheme chehre, ujli galiyaan Yahan vahan se firing ki aawaazein aaye Bachchon ko liptaake roye bebas maayein Khoon ka pyaasa har paagal hai Shaher bhi jaise ab jungle hai Ghoom rahe hain maarne waale Kaun hai jo insaan ko bacha le Tu hi dekh Ma kya hai yeh sama Teri chhaaon tale kat te hai gale, Ma sun le Vande mataram, vande mataram - 2 Deewaaron par khoon ke dhabbe Footpaathon par khoon ke dhabbe Shaher mein jaise har nukkad par maut khadi hai Chauraahein par jaane kiski laash padi hai Nafrat ki naagin phan khole Curfew ka sannata bole Kaun hai khooni kisse talaashein Kuch bhi nahin kehti hai laashein Tu hi dekh Ma, aaye hum kahan Kya baat hai yun, gumraah hai kyoon tere baite Vande mataram, vande mataram - 4
Added by
Mukesh
WRITE A COMMENT
WRITE A COMMENT

No comments yet