--MALE-- Tu pyaar ka saagar hai - 2 Teri ek boond ke pyaase hum - 2 Lauta jo diya tune - 2 Chale jaayenge jahaan se hum - 2 --CHORUS-- Tu pyaar ka saagar hai - 2 Teri ek boond ke pyaase hum - 2 Tu pyaar ka saagar hai --MALE-- Mm mm mm mm mm, mm mm mm mm mm Mm mm mm mm mm Ghaayal mann ka paagal panchhi Udne ko beqaraar - 2 Pankh hai komal, aankh hai dhundli Jaana hai saagar paar - 2 Ab tu hi isse samjha - 2 Raah bhoole the kahan se hum - 2 --CHORUS-- Tu pyaar ka saagar hai Teri ek boond ke pyaase hum - 2 Tu pyaar ka saagar hai --MALE-- Mm mm mm mm mm, mm mm mm mm mm Mm mm mm mm mm Idhar jhoomke gaaye zindagi Udhar hai maut khadi - 2 Koi kya jaane kahan hai seema Uljhan aan padi - 2 Kaanon mein zara keh de - 2 Ke aaye kaun disha se hum - 2 Tu pyaar ka saagar hai Teri ek boond ke pyaase hum - 2 Tu pyaar ka saagar hai - 2
Added by
Mukesh
WRITE A COMMENT
WRITE A COMMENT

No comments yet