LYRIC

(sooraj ki baahon mein ab hai yeh zindagi
kirney hain saanson mein baaton mein roshni) - 2

jo bhi badali dil ki taal hai aha yunhi hi aaya ek khayal hai aha
paate hum hai zindagi ek baar kyun na kare khulke hum issko pyaar
jaane kiska hai hume intezar ke zindagi yehi hai aur yenhi

jo bhi kal tak bus aarzo aha woh hi paa gaye hain main aur tu aha
thaame hum haathon mein yunhi haath shehar dil mein ghumenge saath saath
saare saare din saari saari raat daras rahi hai ik khushi har kahin
(sooraj ki baahon mein ab hai yeh zindagi
kirnay hain saanson mein baaton mein roshni) - 2

naye naye sapne jo bunn sakey ussi zindagi ko kahun zindagi
naye naye rasste jo chun sake ussi zindagi ko kahun zindagi
har pal machalti ho jhum ke chalti ho woh hai zindagi
(sooraj ki baahon mein ab hai yeh zindagi
kirnay hain saanson mein baaton mein roshni) - 2

paate hum hai zindagi ik baar kyun na kare khulke hum isko pyaar
jaane kiska hai hume intezar ke zindagi yehi hai aur yenhi
(sooraj ki baahon mein ab hai yeh zindagi
kirnay hain saanson mein baaton mein roshni) - 3
sooraj ki ab hai yeh kirnay hain saanson mein baaton mein roshni

 


Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs