--MALE-- O re kaanchi O re kaanchi, kaanch ki gudiya Honton mein baandhe prem ki pudiya, haan (Na usse khole, na munh se bole Palkon pe rakhke aankhon se tole) - 2 --FEMALE-- Suniyo suniyo Suniyo suniyo misri se meethi Aankhon mein band hain baatein raseeli, haan (Na unhe khole, na munh se bole Palkon pe rakhke aankhon se tole) - 2 --MALE-- Pahadi paar chalna hai to parbat hata doon Ghataaon mein kahin chhupna hai to saawan bula doon --FEMALE-- Mahuwa mahuwa maheka maheka Maheka maheka mahuwa mahuwa --MALE-- Pahadi paar chalna hai to parbat hata doon Ghataaon mein kahin chhupna hai to saawan bula doon --FEMALE-- Koi udta hua panchhi bata dega thikaana Jahan se din nikalta hai ussi tille pe aana Mahuwa mahuwa maheka maheka Maheka maheka mahuwa mahuwa --MALE-- O re kaanchi, kaanch ki gudiya Honton mein baandhe prem ki pudiya, haan Na usse khole, na munh se bole Palkon pe rakhke aankhon se tole --FEMALE-- Suniyo suniyo misri se meethi Aankhon mein band hain baatein raseeli, haan Na unhe khole, na munh se bole Palkon pe rakhke aankhon se tole --MALE-- O re kaanchi Tera koi parichhay ho to ae sundri bata de Badi meethi teri muskaan hai mundri bana de --FEMALE-- Mahuwa mahuwa maheka maheka Maheka maheka mahuwa mahuwa --MALE-- Tera koi parichhay ho to ae sundri bata de Badi meethi teri muskaan hai mundri bana de --FEMALE-- Hai pardesi mujhe bhool jaayega kahin pe De vachan main pehn loon usse gehna samajhke Mahuwa mahuwa maheka maheka Maheka maheka mahuwa mahuwa --MALE-- O re kaanchi, kaanch ki gudiya Honton mein baandhe prem ki pudiya, haan Na usse khole, na munh se bole Palkon pe rakhke aankhon se tole --FEMALE-- Suniyo suniyo misri se meethi Aankhon mein band hain baatein raseeli, haan (Na unhe khole, na munh se bole Palkon pe rakhke aankhon se tole) - 2
Added by
Mukesh
WRITE A COMMENT
WRITE A COMMENT

NEHA
June 11, 2013 at 4:43 am
VERY NICE SONG!!!
NEHA
June 11, 2013 at 4:44 am
nice song!!!