--MALE-- Baagh ko janm denewaala baaghbaan Parivaar ko janm denewaala pitaah Dono hi apne khoon pasine se Apne paudhon ko seenchte hain Na sirf apne per se Uske saaye se bhi pyaar karte hain Kyoon ki use umeed hai Ek roz jab voh zindagi se thak jaayega Yehi saaya uske kaam aayega --FEMALE-- O dharti tarse ambar barse Rut aaye rut jaaye, haaye Har mausam ki khushboo chunke Baaghbaan baagh sajaaye Baaghon ke har phool ko apna samjhe baaghbaan - 2 Har ghadi kare rakhwaali Patti patti daali daali seenche baaghbaan Baaghon ke har phool ko apna samjhe baaghbaan - 2 Har ghadi kare rakhwaali Patti patti daali daali seenche baaghbaan Baaghbaan rab hai baaghbaan - 4 O madhuban ki bahaar le aaye Mausam reete reete haai, mausam reete reete Janam-o-janam ki trishna bujh gayi Birha ke kshan beete haai, birha ke kshan beete Phir se sajaaye bikhre apne sapne baaghbaan - 2 Baaghbaan rab hai baaghbaan - 3 Baaghbaan rab hai, rab hai baaghbaan O, ungli thaamke jin birvon ko humne dikhaayi raah Maat pita ki unke mann mein tanik nahin parwaah O ansuan bhar nainon se inko dekhe baaghbaan Ansuan bhar nainon se inko dekhe baaghbaan Baaghbaan rab hai baaghbaan - 4 O, kisne dukh ki agni daali, banjar ho gaye khet Hari bhari jeevan bagiya se udne lagi hai ret, haai Kya boya tha aur kya kaata, soche baaghbaan - 2 Baaghbaan rab hai baaghbaan - 3 Baaghbaan rab hai, rab hai baaghbaan O, yahi sochke saansein likh di in phoolan ke naam Inki chhaiyya chhaiyya beete umr ki dhalti shaam Gunche har dam hi muskaaye chaahe baaghbaan - 2 Har ghadi kare rakhwaali Patti patti daali daali seenche baaghbaan Baaghbaan rab hai baaghbaan - 2 Baaghbaan rab hai rab hai rab hai Rab hai rab hai baaghbaan Voh sooraj hai laayi jisne dhoop aangan aangan mein Kyoon hai akelepan ka andhera aaj usi ke daaman mein Kya chaaha tha aur kya paaya, soche baaghbaan - 2 Baaghbaan rab hai baaghbaan - 5 Baaghbaan, baaghbaan
Added by
Mukesh
WRITE A COMMENT
WRITE A COMMENT

No comments yet