--MALE--
Nahin marna gawaara pyaar mein tumse yeh kehna hai
Tumhe bhi zinda rehna hai, mujhe bhi zinda rehna hai

--CHORUS--
(Kabhi aasaan, kabhi mushkil
Ajab hain pyaar ki raahein) - 2
Magar jo pyaar karte hai
Kabhi bharte nahin aahein

--MALE--
Hawaaon ne yeh kaha, fizaaon ne yeh kaha
Aayi pyaar ki yeh rut badi toofaani
Tu darrna na, o meri rani
Badlega yeh mausam arri deewani
Hum likhenge prem kahaani

--CHORUS--
Kabhi aasaan, kabhi mushkil
Ajab hain pyaar ki raahein
Magar jo pyaar karte hai
Kabhi bharte nahin aahein

--MALE--
Hawaaon ne yeh kaha, fizaaon ne yeh kaha
Aayi pyaar ki yeh rut badi toofaani
Tu darrna na, o meri rani
Badlega yeh mausam arri deewani
Hum likhenge prem kahaani
Gardish mein hi sahi yeh sitaarein humnasheen - 2
Dhoondengi kal hamein phir bahaarein humnasheen
Imtehaan pyaar ke roz hote nahin
Pyaar waale kabhi sabr khote nahin
Mohabbat ho hi jaati hai, mohabbat ki nahin jaati

--CHORUS--
Yeh aisi cheez hai jo sab ke hisse mein nahin aati

--MALE--
Hawaaon ne yeh kaha, fizaaon ne yeh kaha
Aayi pyaar ki yeh rut badi toofaani
Tu darrna na, o meri rani
Badlega yeh mausam arri deewani
Hum likhenge prem kahaani
Voh mohabbat hi nahin jis mein dil lut gaye - 2
Deke qurbaaniyaan prem khud mit gaye
Soch le jaaneman humko milna hai ab
Aage peechhe nahin, saath chalna hai ab
Mohabbat raaz hai aisa, jo samjhaaya nahin jaata

--CHORUS--
Yeh aisa geet hai har saaz pe gaaya nahin jaata

--MALE--
Hawaaon ne yeh kaha, fizaaon ne yeh kaha
Aayi pyaar ki yeh rut badi toofaani
Tu darrna na, o meri rani
Badlega yeh mausam arri deewani
Hum likhenge prem kahaani - 3

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *