Viewing 3 reply threads
  • Author
    Posts
    • #6963
      Sunit
      Participant

      Hey Madhu Jee! That’s how this poem goes hoping to get translation of it soon.

      – Tum Bin –

      tum bin guzar to jayegi zindagi
      per hogi na koi us main kahaani..

      tum bin guzar to jayegi raat..
      per main na so payoonga..

      tum bin utheyengey dil main sawaal bahut..
      per hoga na koi un main jawaab..

      andheri si hai manzil ki roshni..
      Hoti hai phoolon par shabnam ki nami
      Diyo main roshni ki kami..
      aghar na ho tumhara saath..

      tum hi sur ho awaaz ki..
      tum hi chaandni ho chaand ki..
      tum hi sahara ho tufanoo main..
      tumhi chamakta tara ho asmano main..

      Rahoon main kahin bhi kisi ke saath bhi
      main hamesha girta hoon tere hi sapnoon mein khoya hua
      hazaro naamon ke beech main dhoondta huwa tumhara hi naam

      In Lamho ki awaaz ho..
      In Baaton ki ilham ho..
      tum hi kinara ho, tum hi meri manzil ho
      dil ki khushi, dil ki pyaas ho

      Mera sab kuch to tum ho
      Main to kuch bhi nahi hoon tum bin
      Aa sako to aajaoo ye dil keh rahe hain tumhare dil se..

    • #50966
      Ek.Ajnaabi
      Participant

      Is it okay if I give it a try?

    • #50967
      Madhu
      Participant

      – Tum Bin –
      (Without you)

      tum bin guzar to jayegi zindagi
      (without you life will still go on)
      per hogi na koi us main kahaani..
      (but there will be no story in it)

      tum bin guzar to jayegi raat..
      (without you the night will go on)
      per main na so payoonga..
      (but I will not be able to sleep)

      tum bin utheyengey dil main sawaal bahut..
      (without you many questions will arise in the heart)
      per hoga na koi un main jawaab..
      (but there will be no answers)

      andheri si hai manzil ki roshni..
      (the destinations light seems to be dim)
      Hoti hai phoolon par shabnam ki nami
      (there is the dampness of the dew on the flowers)
      Diyo main roshni ki kami..
      (the lamps will be lacking light)
      aghar na ho tumhara saath..
      (if you are not with me)

      tum hi sur ho awaaz ki.. (without you sound is tuneless)
      tum hi chaandni ho chaand ki..
      (you are the light of the moon)
      tum hi sahara ho tufanoo main..
      (you are the support in storms)
      tumhi chamakta tara ho asmano main..
      (you are the shining star in the sky)

      Rahoon main kahin bhi kisi ke saath bhi
      (in the path no matter who I am with)
      main hamesha girta hoon tere hi sapnoon mein khoya hua
      (I fall since I am lost in your dreams)
      hazaro naamon ke beech main dhoondta huwa tumhara hi naam
      (in the midst of thousands of names I look for just your name)

      In Lamho ki awaaz ho..
      (you are the sound of these moments)
      In Baaton ki ilham ho..
      (you are the inspiration / illumination)
      tum hi kinara ho, tum hi meri manzil ho
      (you are the shore, you are my destination)
      dil ki khushi, dil ki pyaas ho
      (the happiness of the heart, the thirst of the heart)

      Mera sab kuch to tum ho
      (you are my everything)
      Main to kuch bhi nahi hoon tum bin (without you I am nothing)

      Aa sako to aajaoo ye dil keh rahe hain tumhare dil se..(if you can come then come, this heart is saying this to your heart)

    • #50968
      Sunit
      Participant

      Hey Thanks Alot! 🙂

Viewing 3 reply threads
  • You must be logged in to reply to this topic.