Dost dost na raha, pyaar pyaar na raha
Zindagi hamein tera aitbaar na raha
Aitbaar na raha)
Amaanatein main pyaar ki gaya tha jisko saunpkar
Voh mere dost tumhi the, tumhi to the
Jo zindagi ki raah mein bane the mere hamsafar
Voh mere dost tumhi the, tumhi to the
Saare bhed khul gaye, raazdaar na raha
Zindagi hamein tera aitbaar na raha
Aitbaar na raha
Gale lagi sahem sahem bhare gale se bolti
Voh tum na thi to kaun tha, tumhi to thi
Safar ke waqt mein palak pe motiyon ko tolti
Voh tum na thi to kaun tha, tumhi to thi
Nashe ki raat dhal gayi, ab khumaar na raha
Zindagi hamein tera aitbaar na raha
Aitbaar na raha
Dost dost na raha, pyaar pyaar na raha
Zindagi hamein tera aitbaar na raha
Aitbaar na raha