Viewing 1 reply thread
  • Author
    Posts
    • #8013
      Boy Bombshell
      Participant

      Hi. I was hoping that someone could translate these lyrics for me because I can't find an English translation for them anywhere online.

      Thanks in advance!

      Dialogue:

      Woh kehte hai na jo hota hai

      acchey ke liye hota hai…

      Galat kehte hai

      Lyrics:

      Kismat ka khel hai saara

      Phirta tha main awaara

      Yeh kya se kya hogaya

      Chaar din ki zindagaani

      har pal ek nayi kahaani

      Kya tha main kya bangayaa

      Kya huwa jo laree chooti

      Jeevan ki gaadi luuti

      Khwab hai to mujhko na jaga

      Zindagi ek pal mein saali

      Yun palat gayi hamaari

      Jhuth hai to mujhko na bata

      Dialogue:

      Mumbai sunaa tha yahan aadmi puuri zindagi apni kismet

      slow track se fast track lane mein nikaal deta hai

      par dhai ghante mein yeh kisko pata tha

      aise slow track se fast track par aa jayegi yeh maine kabhi socha nahin tha

      Sazaa majaa ban jayegi yeh bhi kabhi socha nahin tha

      Last local kya chuuti saala kismet patri par aa gayi

      Lyrics:

      Karlo jo bhi karna hai

      hota hai jo hona hai

      Guzra do pal yeh phir na aayega

      Kya bura hai kya bhala hai

      Waqt hi shayad khuda hai

      Ho jaane do phir

      Dekha jaayega

      Kya huwa jo laree chooti

      Jeevan ki gaadi luuti

      Khwab hai to mujhko na jagaa

      Zindagi ek pal mein saali

      Yun palat gayi hamaari

      Jhuth hai to mujhko na bataa – 2

      Dialogue:

      Woh kehte hai na jo hota hai

      acchey ke liye hota hai…

      Sahi kehte hai

      Lyrics from: http://myquest4mba.wordpress.com/

    • #68427
      prncess20
      Participant
Viewing 1 reply thread
  • You must be logged in to reply to this topic.