Viewing 2 reply threads
  • Author
    Posts
    • #7991
      prncess20
      Participant

      Please translate the following songs from the new movie Dhokha. Thanks.

      Hindi Song Title: Dhokha

      dhoka dhoka………

      gairo se kya shikwa karana, apane dhoka dete hain – 2
      aksar yeh jaane pehchaane chehre dhoka dete hain
      dhoka dhoka dhoka dhoka………
      gairo se kya shikwa karana – 2, apane dhoka dete hain
      aksar yeh jaane pehchaane chehre dhoka dete hain
      dhoka dhoka dhoka dhoka………

      in sooni aankhon mein hamne kya kya khaab sajaayein the
      kise pata tha woh manjar apne nahi paraaye the
      aankh khuli toh hamane dekha sapne dhoka dete hain
      sapne dhoka dete hain – 2
      dhoka dhoka dhoka dhoka………

      bikhar gaye sab rang wafa ke, khaab suhaana toot gaya
      dil ne jisko toot ke chaaha kyun woh saathi chhut gaya
      har pal rang badalanewaale lamhein dhoka dete hain
      lamhein dhoka dete hain – 2
      dhoka dhoka dhoka dhoka………
      gairo se kya shikwa karana, apane dhoka dete hain
      aksar yeh jaane pehchaane chehre dhoka dete hain
      gairo se kya shikwa karana – 2, apane dhoka dete hain
      dhoka dhoka dhoka dhoka………

      Hindi Song Title: Anjana

      (anjaana dil kya jaane, begaana dil kya jaane
      darr jaata hai kyun paake khushiyaan
      yeh jo main bekaraar hoon, har lamha ishq toh nahi
      yeh jo mujhe bekhudi si hai, tu jaise mujhmein hai kahin) – 2

      kabhi baahon mein hai duniya, kabhi khaali khaali raahein
      kabhi bharta hai dil thandi thandi aahein
      kabhi aankhon mein hai sapne, kabhi palko pe hai aansoo
      yeh ishq dikhaaye kaise kaise jaadu
      kabhi dhoop kabhi barsaatein, kabhi kabhi tanha tanah raatein
      mausam hai kitne aate jaate in wafaaon ke
      anjaana dil kya jaane, begaana dil kya jaane
      darr jaata hai kyun paake khushiyaan
      yeh jo main bekaraar hoon, har lamha ishq toh nahi
      yeh jo mujhe bekhudi si hai, tu jaise mujhmein hai kahin

      milna hai pal do pal ka, phir lambi hai tanhaayi
      pachaayi se kat jaati hai pachaayi
      kho jaata hai woh chehara, bas aati hai aawaazein
      dil karata hai khud se hi aksar baatein
      wahin phiki phiki subahein, wahi bojhal bojhal shaamein
      mausam hai kitne aate jaate in wafaaon ke
      anjaana dil kya jaane, begaana dil kya jaane
      darr jaata hai kyun paake khushiyaan
      yeh jo main bekaraar hoon, har lamha ishq toh nahi
      yeh jo mujhe bekhudi si hai, tu jaise mujhmein hai kahin

      Hindi Song Title: Kab Tujhe

      kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala
      kab tujhe khud pe humne odh liya, ajanabi humko kuchh pata na chala
      tere liye hai mere jism-o-jaan, tere liye hai mere shaam-subah
      kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuch pata na chala
      kab tujhe khud pe humne odh liya, ajanabi humko kuch pata na chala

      (teri chaahat ne meri zindagi sajaayi hai
      dil ke viraane mein chhupke se bahaar aayi hai) – 2
      kab hasin zindagi ne mod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala
      kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala

      (jisaki khwaaish thi hume tune abb woh shab di hai
      jitni tanhaayi thi jeene mein sab woh bhar di hai) – 2
      kab hume humse tune tod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala
      kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala

      (abb to har lamha tere saath hum bitaayenge
      khud bhi sawarenge, tere ghar ko sajaayenge) – 2
      kab yahi dil hi dil mein soch liya, ajnabi humko kuchh pata na chala
      kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala
      tere liye hai mere jism-o-jaan, tere liye hai mere shaam-subah

      Hindi Song Title: Roya Re

      tanha dil…
      tanhaayi, sangdil tanhaayi, sang laayi yaad teri sang laayi
      baar baar woh bahaar phirse yaad aayi
      sooni sooni raah dil ki jisane thi sajaayi
      tanha dil (roya re… dil roya re – 4)

    • #68387
      prncess20
      Participant

      please translate.

    • #68388
      xZahrax
      Participant
Viewing 2 reply threads
  • You must be logged in to reply to this topic.