--MALE-- Shikaayat hai, shikaayat hai, shikaayat hai Mujhko dil se yehi shikaayat hai, shikaayat hai - 2 Jo usko mil nahin sakta Jo usko mil nahin sakta kyoon uski chaahat hai Mujhko dil se yehi shikaayat hai, shikaayat hai Tukdon tukdon mein mujhse roz milne waale sun Jab mukammal nahin milna to koi khwaab na bun Tanha tanha hoon main, mujhe teri zaroorat hai Mujhko dil se yehi shikaayat hai, shikaayat hai Yeh teri zulfein, teri aankhen uff yeh tera per hai Aur khushboo se mahekta hua yeh gora sa badan Jaanta hoon main yeh ke kisi gair ki amaanat hai Mujhko dil se yehi shikaayat hai, shikaayat hai Bin tere mujhko zindagi se khauff lagta hai Kiston kiston mein mar raha hoon roz lagta hai Is liye mujhko apne zindagi se nafrat hai Mujhko dil se yehi shikaayat hai, shikaayat hai Shikaayat hai, shikaayat hai, shikaayat hai
See More Lyrics from movie Jism
