--MALE-- Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin - 2 Tera nasheela badan baahon ne chhoda nahin Aankhen to kholi magar sapna voh toda nahin Haan, vohi, voh vohi Saanson pe rakha hua tere honton ka Sapna abhi hai vahin --FEMALE-- Oh, raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin (Tere bina bhi kabhi tujhse machal leti hoon Karvat badalti hoon to sapna badal leti hoon) - 2 Tera khayaal aaye to balkhaake pal jaata hai Paani ke chaadar tale tan mera jal jaata hai Haan, vohi voh vohi Saanson pe rakha hua tere honton ka Sapna abhi hai vahin Oh, raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin --MALE-- Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin Tere gale milne ke mausam bade hote hain Janmon ka vaada koi yeh gham bade chhote hain Oh, tere gale milne ke mausam bade hote hain Janmon ka vaada koi yeh gham bade chhote hain Lambi si ek raat ho, lamba sa ek din mile Bas itna sa jeena ho milan ki ghadi jab mile Haan, vohi, voh vohi Saanson pe rakha hua tere honton ka Sapna abhi hai vahin Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin --FEMALE-- Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Added by
Mukesh
WRITE A COMMENT
WRITE A COMMENT

No comments yet