--FEMALE-- Bumbro, bumbro shyaam rang bumbro - 2 Aaye ho kis bagiyaa se oh, oh tum Bumbro bumbro, shyaam rang bumbro - 2 Aaye ho kis bagiyaa se oh, oh tum Bhanwre o shyaam bhanwre, Khushiyon ko saath laaye Mehndi ki raat mein tum leke saugaat aaye --MALE-- Ho, kaajal ka rang laaye nazrein utaarne ko Baaghon se phool laaye raste sanwaarne ko --FEMALE-- Haan, kaajal ka rang laaye nazrein utaarne ko Baaghon se phool laaye raste sanwaarne ko Aao mehndi ki chhaaon mein geet sunaaye bumbro Jhoome naache, saaz gaaye, jashn manaaye bumbro Bumbro, bumbro shyaam rang bumbro - 2 Aaye ho kis bagiyaa se oh, oh tum Khil khil ke laal hua mehndi ka rang aise Gori hatheliyon pe khilte ho phool jaise Bumbro bumbro bumbro bumbro --MALE-- Oye, khil khil ke laal hua,mehndi ka rang aise Gori hatheliyon pe khilte ho phool jaise --FEMALE-- Yeh rang dhoop ka hai, yeh rang chhaaon ka hai Mehndi ka rang nahin, maa ki duaaon ka hai --MALE-- Is mehndi ka rang hai sachaa, baaki saare jhoote Haathon se ab mehndi ka yeh rang kabhi na chhoote --FEMALE-- O bumbro, bumbro shyaam rang bumbro Bumbro, bumbro shyaam rang bumbro Aaye ho kis bagiyaa se oh, oh tum Bumbro, bumbro shyaam rang bumbro - 2 Aaye ho kis bagiyaa se oh, oh tum Chandaa ki paalki mein dil ki muraad layi Jannat ka noor leke mehndi ki raat aayi --MALE-- Mehndi ki raat aayi --FEMALE-- Chanda ki paalki mein dil ki muraad laayi Jannat ka noor leke mehndi ki raat aayi Rukh pe saheliyon ke, khwaabon ki roshni hai Sabne duaayein maangi, rab ne kabool ki hai (Yeh haathon mein mehndi hai ya shyaam ki laali Chaand sitaare lekar aaye, raat ki rani) --MALE-- Oh chandaa ki paalki mein dil ki muraad laayi Jannat ka noor leke mehndi ki raat aayi --FEMALE-- Rukh pe saheliyon ke, khwaabon ki roshni hai Sabne duaayein maangi, rab ne kabool ki hai Yeh haathon mein mehndi hai ya shyaam ki laali (bumbro) Chaand sitaare lekar aaye raat ki rani (bumbro) Haan bumbro, bumbro shyaam rang bumbro Bumbro, bumbro shyaam rang bumbro Aaye ho kis bagiyaa se --MALE-- (Aaye ho kis bagiyaa se) --FEMALE-- Oh, oh tum Bumbro bumbro oh, oh tum Bumbro bumbro (Oh, oh tum) --MALE-- Aaye ho kis bagiyaa se --FEMALE-- Bumbro bumbro, oh, oh Bumbro bumbro --MALE-- (Aaye ho kis bagiyaa se) --FEMALE-- Oh, oh tum Bumbro, bumbro - 5
See More Lyrics from movie Mission Kashmir
