#48539
RaNi iS ThE BeS
Participant

(tu jahan main wahan
sang sang yuhn chaloon tere
jaise tera aasmaan) – 2

jo dhoop nikli
chaaya ban jaaonga
jo ho tu akeli
saaya
ban jaaonga
jo uljhan mein ho mann
main behlaoonga

tum aa gaye ho
to jeena aaya hai
khushiyon ka tumne
yeh jaal bichaya hai
khoya hai khudko ya
sabh kuch paaya hai

tu jahan main wahan
sang sang yuhn chaloon tere
jaise tera aasmaan

ho ghum ke badal
mujhpe tham jaane de
bechainiyo ko
mujhse takraane de
dukhti ho koi baat
mujhpe aane de

dil sochta tha
ke koi apna ho
koi raaz na ho
jo usse rakhna ho
aankhein na kholoon main
shayad sapna ho

tu jahan main wahan
sang sang yuhn chaloon tere
jaise tera aasmaan