qaraar khoyaa muhabbat men is zamaane ne
ye baat sach hi kahi hai kisi divaane ne
ke jaan chali jaae jiyaa nahin jaae
jiyaa jaae to phir jiyaa nahin jaae
ye ilzaam sar pe liyaa nahin jaae
liyaa jaae to phir jiyaa nahin jaae
zamaane men nahin divaana ham sa
divaana nahin ye zamaana ham sa
ye kya jaane ye kya samajhe ye baaten pyaar ki
ke pyaar har kisi se kiyaa nahin jaae
kiya jaae to phir jiya nahin jaae
na aai kabhi nind, na aaya hai qaraar
hamaari tauba ham nahin karenge pyaar
bas laao dil hamaara hamako de do o sanam
ye dil le ke vaapas diya nahin jaae
diya jaae to phir jiya nahin jaae
chura ke nazaren na dekho tum ye phool
suno ye berukhi hamen nahin qubool
ya ham bhale jaaen ya kah do ye bahaar chali jaae
bahaar chali jaae piyaa nahin jaae
piyaa jaae to phir jiya nahin jaae
ke jaan chali jaae….
next ; R