LYRIC


--FEMALE--
(Zindagi ko bina pyaar koi kaise guzaare
Mehboob ki aankhon mein badi baat hai pyaare) - 2
Aate hai zameen par kabhi yeh chaand sitaare - 2
Mehboob ki aankhon mein badi baat hai pyaare
Zindagi ko bina pyaar koi kaise guzaare
Aa aa, aa aa aa aa, aa aa aa aa, aa aa aa aa
Mm hm hm mm mm, badi baat hai pyaare
Mehboob ki aankhon mein badi baat hai pyaare
Is umr mein ban jaayegi koi to kahaani, ho
Tanha nahin kat ti hai yeh madhosh jawaani
Koi naya dilbar chuno, kitni haseen raat hai
Chupke koi dhadkan suno, keh do jo dil mein baat hai
Milte hai naseebon se yeh baahon ke sahaare - 2
Mehboob ki aankhon mein badi baat hai pyaare
Zindagi ko bina pyaar koi kaise guzaare
Aa aa aa aa aa, aa aa aa aa, ho oh oh oh
Ban jaao kisi ke, kisi ko apna bana lo
Palkon ke jharokon mein koi sapna saja lo
Yaadon mein tum khoye raho saare jahan ko bhoolke
Zulfon tale soye raho bheege labon ko choomke
Nazron mein basa lo sabhi rangeen nazaarein - 2
Mehboob ki aankhon mein badi baat hai pyaare
Aate hai zameen par kabhi yeh chaand sitaare - 2
Mehboob ki aankhon mein badi baat hai pyaare
Zindagi ko bina pyaar koi kaise guzaare
Haan, maine bhi pyaar kiya - 3

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs