LYRIC


--MALE--
(Tu hi bata zindagi, jo bhi hua kyoon hua
Khoyi hai kyoon har khushi, kiski lagi bad-dua) - 2
Kise kise jawaab doon, bujha bujha yeh dil hai kyoon
Kya main kahoon bikhra kyoon sapna mera
Tu hi bata zindagi, jo bhi hua kyoon hua
(Bheege bheege din kaali raatein
Aansuon ke jaise barsaatein) - 2
Poochhe mujhse jo dil ki baatein
Kya main kahoon dard kyoon dil ko mila
Tu hi bata zindagi, jo bhi hua kyoon hua
(Soona soona sa hai ab yeh mann
Doobi doobi si hai ab dhadkan) - 2
Jaaoon kahan ab hai yehi uljhan
Kya main kahoon khoya kyoon rasta mera
Tu hi bata zindagi, jo bhi hua kyoon hua
Khoyi hai kyoon har khushi, kiski lagi bad-dua
Kise kise jawaab doon, bujha bujha yeh dil hai kyoon
Kya main kahoon bikhra kyoon sapna mera
Tu hi bata zindagi, jo bhi hua kyoon hua

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs