LYRIC

Bejaan dil ko
bejaan dil ko
bejaan dil ko
tere ishq ne zinda kiya
phir tere ishq ne hi
is dil ko tabah kiya

tadap tadap ke is dil se aah nikalti rahi
mujko saza di pyar ki, aisa kya gunah kiya
to lut gaye, haan lut gaye
to lut gaye hum teri mohabbat mei.n — (3)

ajab hai ishq yara
pal do pal ki khushiya.n
gham ke khazaane mei.n lutey hai
phir militi hai tanhaiyaa.n
kabhi ansoo, kabhi aahei.n
kabhi shikway, kabhi naalei.n
tera chehra nazar aaye

tera chehra nazar aaye
mujhe din ke ujalo mei.n
teri yaadein tadpaye

teri yaadein tadpaye
raato ke andhero mei.n
tera chehra nazar aaye

machal machal ke is dil se aah nikalti rahi
mujhko saza di pyar ki, aisa kya gunah kiya
to lut gaye, haan lut gaye
to lut gaye hum teri mohabbat mei.n

agar miley khuda to
poochoonga khudaya
jism mujhe de ke mitti ka
sheshay sa dil kyoo banaya
aur us pe diya fitrat
ke woh karta hai mohabbat
wah re wah teri kudrat

wah re wah teri kudrat
us pe de diya kismat
kabhi hai milan, kabhi furqat

kabhi hai milan, kabhi furqat
hai yahi kya woh mohabbat
wah re wah teri kudrat

sisak sisak ki is dil se aah nikalti rahi
mujhko saza di pyar ki, aisa kya gunah kiya
to lut gaye, haan lut gaye
to lut gaye hum teri mohabbat mei.n

tadap tadap ke is dil se aah nikalti rahi
mujhko saza di pyar ki, aisa kya gunah kiya
to lut gaye, haan lut gaye
to lut gaye hum teri mohabbat mei.n

English Translation of Hindi Lyric

Title: Tadap Tadap

Film Name: Hum Dil De Chuke Sanam

Music: Ismail Darbar

Lyrics: Mehboob

Singers: K.K.

Category: Love/Sad

Words:

--MALE--
Bejaan dil ko, bejaan dil ko
My lifeless heart, my lifeless heart
Bejaan dil ko tere ishq ne zinda kiya
Your love brought my lifeless heart alive
Phir tere ishq ne hi is dil ko tabaah kiya
Then your love itself ruined this heart

(Tadap tadapke is dil se aah nikalti rahi
Suffering and suffering, a sigh arises from this heart
Mujhko saza di pyaar ki, aisa kya gunaah kiya
I have received punishment for love, what kind of sin have I committed?
To lut gaye, haan lut gaye
I have been completely looted, yes completely looted
To lut gaye hum teri mohabbat mein) - 3
I have been completely looted in your love

Ajab hai ishq yaara, pal do pal ki khushiyaan
Love is strange, friend, there is a moment or two of happiness
Gham ke khazaane milte hain phir milti hain tanhaaiyaan
Then you get the treasure of sorrow, then you get loneliness
Kabhi aansu kabhi aahein, kabhi shikwe kabhi naale
Sometimes tears, sometimes sighs, sometimes complaints, sometimes lamentations
Tera chehra nazar aaye
Your face comes to sight
Tera chehra nazar aaye mujhe din ke ujaalon mein
Your face comes to sight to me in the light of day
Teri yaadein tadpaaye
Your memories torture me
Teri yaadein tadpaaye raaton ke andheron mein
Your memories torture me in the night's darkness
Tera chehra nazar aaye
Your face comes to sight
Machal machalke is dil se aah nikalti rahi
Twisting and turning, a sigh arises from this heart
Mujhko saza di pyaar ki, aisa kya gunaah kiya
I have received punishment for love, what kind of sin have I committed?
To lut gaye, haan lut gaye
I have been completely looted, yes completely looted
To lut gaye hum teri mohabbat mein
I have been completely looted in your love

Agar mile khuda to puchhoonga khudaaya
If I were to meet God, I would ask, oh Lord
Jism mujhe deke mitti ka, sheeshe sa dil kyoon banaaya
Giving me a body of hard clay, why did you make my heart like glass?
Aur uspe diya fitrat ke voh karta hai mohabbat
And on top of that you gave it the tendency to fall in love
Waah re waah teri kudrat
Oh how remarkable, your nature
Waah re waah teri kudrat, uspe de diya kismat
Oh how remarkable, your nature, on top of that you gave this fate
Kabhi hai milan kabhi furqat
Sometimes there is a union, sometimes separation
Kabhi hai milan kabhi furqat, hai yehi kya voh mohabbat
Sometimes there is a union, sometimes separation, is this that "love"?
Waah re waah teri kudrat
Oh how remarkable, your nature
Sisak sisak ke is dil se aah nikalti rahi
Whimpering and whimpering, a sigh arises from this heart
Mujhko saza di pyaar ki, aisa kya gunaah kiya
I have received punishment for love, what kind of sin have I committed?
To lut gaye, haan lut gaye
I have been completely looted, yes completely looted
To lut gaye hum teri mohabbat mein
I have been completely looted in your love
Tadap tadapke is dil se aah nikalti rahi
Suffering and suffering, a sigh arises from this heart
Mujhko saza di pyaar ki, aisa kya gunaah kiya
I have received punishment for love, what kind of sin have I committed?
To lut gaye, haan lut gaye
I have been completely looted, yes completely looted
To lut gaye hum teri mohabbat mein
I have been completely looted in your love

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs