LYRIC


--MALE--
Baagh ko janm denewaala baaghbaan
Parivaar ko janm denewaala pitaah
Dono hi apne khoon pasine se
Apne paudhon ko seenchte hain
Na sirf apne per se
Uske saaye se bhi pyaar karte hain
Kyoon ki use umeed hai
Ek roz jab voh zindagi se thak jaayega
Yehi saaya uske kaam aayega

--FEMALE--
O dharti tarse ambar barse
Rut aaye rut jaaye, haaye
Har mausam ki khushboo chunke
Baaghbaan baagh sajaaye
Baaghon ke har phool ko apna samjhe baaghbaan - 2
Har ghadi kare rakhwaali
Patti patti daali daali seenche baaghbaan
Baaghon ke har phool ko apna samjhe baaghbaan - 2
Har ghadi kare rakhwaali
Patti patti daali daali seenche baaghbaan
Baaghbaan rab hai baaghbaan - 4
O madhuban ki bahaar le aaye
Mausam reete reete haai, mausam reete reete
Janam-o-janam ki trishna bujh gayi
Birha ke kshan beete haai, birha ke kshan beete
Phir se sajaaye bikhre apne sapne baaghbaan - 2
Baaghbaan rab hai baaghbaan - 3
Baaghbaan rab hai, rab hai baaghbaan
O, ungli thaamke jin birvon ko humne dikhaayi raah
Maat pita ki unke mann mein tanik nahin parwaah
O ansuan bhar nainon se inko dekhe baaghbaan
Ansuan bhar nainon se inko dekhe baaghbaan
Baaghbaan rab hai baaghbaan - 4
O, kisne dukh ki agni daali, banjar ho gaye khet
Hari bhari jeevan bagiya se udne lagi hai ret, haai
Kya boya tha aur kya kaata, soche baaghbaan - 2
Baaghbaan rab hai baaghbaan - 3
Baaghbaan rab hai, rab hai baaghbaan
O, yahi sochke saansein likh di in phoolan ke naam
Inki chhaiyya chhaiyya beete umr ki dhalti shaam
Gunche har dam hi muskaaye chaahe baaghbaan - 2
Har ghadi kare rakhwaali
Patti patti daali daali seenche baaghbaan
Baaghbaan rab hai baaghbaan - 2
Baaghbaan rab hai rab hai rab hai
Rab hai rab hai baaghbaan
Voh sooraj hai laayi jisne dhoop aangan aangan mein
Kyoon hai akelepan ka andhera aaj usi ke daaman mein
Kya chaaha tha aur kya paaya, soche baaghbaan - 2
Baaghbaan rab hai baaghbaan - 5
Baaghbaan, baaghbaan

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs