LYRIC


--FEMALE--
Oh, oh oh oh, oh oh oh oh oh oh oh oh
Aah ha ha, ho oh oh oh, ho oh oh
Aah aah aah aah aah aah aah, aah aah
Mera mann, mera mann tujhko bulaaye pyaar se - 2
Chain kahin aaye na, dard saha jaaye na
Mera mann, mera mann tujhko bulaaye pyaar se
Chain kahin aaye na, dard saha jaaye na
Kaisi pagli pawan hai
Mere aanchal ko choomti
Ho, mere tan se lipatke
Mere khushboo mein jhoomti
Jaa re jaa, besharam yun mujhe rokna
Chhod de raasta yun mujhe tokna
Chali main banke ghata neer bhari
Log kahe mujhe kajri
Mera mann, mera mann tujhko bulaaye pyaar se
Chain kahin aaye na, dard saha jaaye na
Main to sur se saji hoon
Meri saanson mein sargam
Ho, saari dhun mein baji hoon
Main hoon taanon mein har dam
Jaadui saaz hoon, ansuna geet hoon
Husn ka raag hoon, pyaar ki reet hoon
Mujhe adhron pe saja dil mein basa
Geet mera har pal ka
Mera mann, mera mann tujhko bulaaye pyaar se
Chain kahin aaye na, dard saha jaaye na
Main hoon teri pujaaran
Tu hai sapnon ka devta
Tujhko chaahoon main har pal
Yeh nahin hai tujhko pata
Kaunsi yeh zameen, kaunsa aasmaan
Phool hi phool hai dekhti hoon jahan
Udi main leke hawa dekh zara
Jag saara mahek utha
Mera mann, mera mann tujhko bulaaye pyaar se
Chain kahin aaye na, dard saha jaaye na
Mera mann, mera mann
O mera mann, mera mann
Mera mann, mera mann
Ho mera mann, mera mann

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs