--FEMALE-- (Main kaun hoon, kya hoon Jaana mujhe hai kahan Ae zameen, aasmaan, ae hawaa tu bataa Kaun hoon main, kya hoon main Kahan mujhe hai jaana) - 2 Hawaaon ko main rok loon Main khushbuon ko baandh doon Sitaare tod loongi, main chaandni churaaoongi Ae zindagi, magar bataa Main kaun hoon, kya hoon Jaana mujhe hai kahan Ae zameen, aasmaan, ae hawaa tu bataa Kaun hoon main, kya hoon main Kahan mujhe hai jaana Main aa gayi hoon kahan Yeh kho gayi hoon kahan Zindagi tu mujhe mere pehchaan de Mera wajood to bataa Main kaun hoon, kya hoon Jaana mujhe hai kahan Ae zameen, aasmaan, ae hawaa tu bataa Kaun hoon main, kya hoon main Kahan mujhe hai jaana Aah aah aah aah aah - 3 Aah aah aah aah Kabhi kisi bhi mod par Ruke mere kadam magar Badhaaoongi main hosla, chunoongi main voh raasta Chala na ho koi jahan Yeh din yeh raat mujh mein hai Yeh kaayanaat mujh mein hai Yeh zameen aasmaan, yeh jahaan mujh mein hai Main kya kahoon, hai sach to yeh Ke voh khudaa mujh mein hai
See More Lyrics from movie Yeh Zindagi Ka Safar
