--MALE-- Husn ka maara hoon, dil se begaana hoon Mastaana ajnabi hoon, thoda sa deewaana hoon Maheki hawaaon ne mujhko bulaaya hai Pariyon ki nagri mein pardesi aaya hai (Ladka yeh kehta hai ladki se Honton pe dabi dabi hansi se Aaya hoon door se karne main dosti Haath mila lo ajnabi se) - 2 Jaan lo, maan lo, chehra mera pehchaan lo Ladka yeh kehta hai ladki se (Aap ka saath to suhaana hai Baaton mein meetha taraana hai) - 2 Dil ke kone mein bitha lo ji Kitna akela deewaana hai Ladka yeh kehta hai ladki se De do jawaab mujhe jaldi se Aaya hoon door se karne main dosti Haath mila lo ajnabi se Jaan lo, maan lo, chehra mera pehchaan lo Ladka yeh kehta hai ladki se (Kyoon darrti ho, dil nahin todoonga Main tera saath nahin chhodoonga) - 2 Mujhko kabhi aazma lo ji Tumse kabhi munh na modoonga Ladka yeh kehta hai ladki se Ithlaati sharmaati sharmeeli se Aaya hoon door se karne main dosti Haath mila lo ajnabi se Jaan lo, maan lo, chehra mera pehchaan lo
See More Lyrics from movie Main Prem Ki Diwani Hoon
