--MALE-- Dil ki lagi mein dhadkanon pe ikhtiyaar nahin hota hai Ishq voh jalwa hai jo pardanashi nahin hota (Teri ada, teri nazar Teri hansi, teri umar yaara Kehti yehi, poochho dil se Don't you love me baby?) - 2 --FEMALE-- Teri ada, teri nazar Teri hansi, teri umar yaara Kare dillagi, raat hai aadhi Just go to sleep, baby --MALE-- Teri ada, teri nazar Haseenon ka har tevar sachcha nahin hota Ikraar karke izhaar na karna achha nahin hota Hey, la la la la la la la la, la la la la la Aisa bhi kya humse gila --FEMALE-- Anaari sanam mujhko mila --MALE-- Jo bhi kaho, paas aane do --FEMALE-- Mm, aayi badi neend, so jaane do --MALE-- Neend to hai ek bahaana --FEMALE-- Kadam na aage badhaana --MALE-- Lagega darr akele mein --FEMALE-- Phasaao na jhamele mein So jaao tum, milenge hum sapnon ke mele mein --MALE-- Teri sharam, teri haya Teri saansein, teri dhadkan yaara Kehti yehi, poochho dil se Don't you love me baby? Teri ada, teri nazar --FEMALE-- Maana intezaar ka aalam bada sakht lagta hai Lekin kya kare, dil ki baat zubaan pe aate aate waqt lagta hai --MALE-- Samjha karo, tumse ishq hai --FEMALE-- Sambhalke raho, is mein risk hai --MALE-- Koi gham nahin jo bhi ho sila --FEMALE-- O, besharam ho tum kitne bhala --MALE-- Ek nazar dekho to idhar --FEMALE-- Deewane kyoon ho is kadar --MALE-- Khidkiyaan dil ki khol do --FEMALE-- Hamein tum tanha chhod do Yun na udo khayaalon mein tum, raahon ko mod lo Teri zubaan, teri vafa Teri aarzoo, teri justjoo yaara Kare dillagi, raat hai aadhi Just go to sleep, baby --MALE-- Teri ada, teri nazar Teri hansi, teri umar yaara Kehti yehi, poochho dil se Don't you love me baby?
See More Lyrics from movie Chura Liyaa Hai Tumne
