--FEMALE-- Hum jis pe mare, voh bhi hum pe mare Aa aa aa aa aa, o ho ho Aa, aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa (Yeh pyaar to hai ek dhoka Is liye maine dil ko roka) - 2 Hum jis pe mare, voh bhi hum pe mare Sochke raat bhar hum jage Oye oye oye oye oye Allah kare dil na lage kisi se - 4 Bada seedha saadha bada bhola bhaala Hai sab se juda voh deewana mera Abhi faasla hai, magar yeh pata hai Haqeeqat banega fasaana mera Bade josh mein hai, na hum hosh mein hai Sambhaalo hamein, hum bahekne lage Bataaye to kaise, chhua tumne aise To hum banke khushboo mahekne lage --MALE-- (Ishq to hai hawaaon ka jhonka Is liye maine dil ko roka) - 2 --FEMALE-- Hum jis pe mare, voh bhi hum pe mare Sochke raat bhar hum jage Oye oye oye oye oye Allah kare dil na lage kisi se - 4 --MALE-- Suhaani dagar mein, tumhaari nazar mein Khayaalon ki duniya basaayenge hum Mohabbat ki ladiyaan, haseen chand ghadiyaan Sanam zindagi se churaayenge hum --FEMALE-- Saja do yeh gesu, chura lo yeh khushboo Mujhe baazuon mein chhupa lo sanam Bahaaron mein aake, gale se lagaake Mujhe apni dulhan bana lo sanam --MALE-- (Is chaahat ne humko toka Is liye maine dil ko roka) - 2 --FEMALE-- Hum jis pe mare, voh bhi hum pe mare Sochke raat bhar hum jage Oye oye oye oye oye Allah kare dil na lage kisi se - 4
See More Lyrics from movie Andaaz
