May i have an english translation for this song please? Thank you!
main tumhe dekh kar geet gaata rahun
tum agar saath dene ka vaada karo main yoon hi mast naghme lutaata rahun aa..aa.. kitne jalwe fizaaon mein bikhre magar maine ab tak kisi ko pukaara nahi
tum ko dekha to nazren ye kehne lagi hum ko chehre se hatna ganwara nahi
tum yahin meri nazron ke aage raho main har ek shay se nazren churaata rahun
tum agar saath dene ka vaada karo main yoon hi mast naghme lutaata rahun
maine khwaabon mein barson taraasha jise tum wahi sang e marmar ki tasveer ho ho..ho..
tum na samjho tumhara muqaddar hoon main main samajhta hoon tum meri taqdeer ho
tum agar mujh ko apna samajhne lago main bahaaron ki mehfil sajata rahun
tum agar saath dene ka vaada karo main yoon hi mast naghme lutaata rahun aa..aa..