Sorry folks, I just realized almost all the songs from my 'database' have already been sung by others in this forum. Will try my best to bring some uniqueness !
Now continue a song with 'k':
koi yeh kaise bataaye, ke wo tanahaa kyu hain
wo jo apna tha, wohi aur kisi kaa kyu hain
yahi duniya hain to phir, aisi ye duniya kyu hain
yahi hotaa hain to, akhir yahi hota kyu hai
ik jara hath badha de to, pakadle daaman
us ke seene mein sama jaaye, hamari dhadkan
itni kurbat hain to phir fasla itna kyu hain
dil-e-barbad se nikla nahin abtak koi
ek loote ghar pe diyaa karta hain dastak koi
aas jo tootgayi hain, phir se bandh ata kyu hain
tum masarrat kaa kaho ya, ise gham ka rishta
kahte hain pyaar ka rishta hain, janam ka rishta
hai janam ka jo ye rishta to badaltha kyu hain
- Wisdom begins with wonder !